Kitna sajaya ghar ko
jo kaam kabhi na kia
voh bhi kia
Kharab paint , toote pluster,
kitabon par jammi dhool
ast-viast parhe gamle
tasveeron ke frame
sabh ki khabar lee gayi
Chamkaye gaye farsh
badal deeye galeeche
samvaar deeye parde
masheen me dho dale
naraaz se parhe tady -bear
saja deeya darvaza
ek phool latka deeya us par
likha" Swagatam"
Aise hi kayi din lagataar
chhote chhote kaam karte hooye
ban gayi ek tarteeb
chamak utha sara ghar
sab kuchh mekaya
Par
jis ka Intzaar tha
Voh na aaya.